Ek Din Achanak Part 26
Episode 4
Achanak students ke shor se sabka dhyaan tuta aur teeno ne dekha ki class mein students aane shuru ho gaye hain. Ravi ko bahut gussa to aaya ki bas ab to ye pata lagna tha ki Sonali ki asal mein shaadi kisse huyi aur Jay aisa kyun hai lekin sabke aane se baat poori nahin ho payi. Ravi ko to bahut gussa aa raha tha Sonali ki bewafai par. Usne Pawan se kaha “Dekh Pawan tu bhi Riya se sambhal kar rehna. Kahin iska jaisa haal na ho jaye.”
“Abe dara raha hai mujhe. Riya aisi ladki nahin hai”
“Abe iske hisaab se to Sonali bhi pehle aisi nahin thi lekin baad mein ho gayi na. Mujhe to pyaar naam se nafrat ho gayi hai Jay ko dekhkar. Iska sab kuch barbad ho gaya pyaar ki wajah se. Ladkiyon ka to kaam hai dilon se khelna lekin hum unke haath ki kathputli kab tak bante rahe. Tu banna lekin main to in mamlon se 100 gaj doori bana kar rahunga”
“Teri baat sahi hai lekin mujhe Riya par poora vishwas hai. Wo mere saath aisa kabhi nahin karegi. Aakhir paanchon ungliyan ek si nahin hoti na.”
“Theek hai bhai. Bhagwaan kare teri Riya aisi na ho. Jab se Jay ki kahani suni hai tere liye chinta badh gayi hai.”
“Oye Jay tu kyun muh latka kar baitha huya hai. Bhool ja sab purani baatein aur masti kar. Aaj ko ji aur life enjoy kar. Chal pehle lecture ke baad canteen mein chal kar mauj masti karte hain”
Jay kuch nahin bola sirf muskura diya. Wo khus tha kyunki school chootne ke baad usne socha hi nahin tha ki Jawed jaisa koi dost use kabhi naseeb hoga lekin bhagwaan ko shayad us par daya aa gayi thi jo unhone ek nahin balki Ravi aur Pawan ke roop mein do naye dost de diye the.
Lecturer aaya aur lecture leke chala gaya. Teeno class se uthe aur pahunch gaye canteen mein. Jahan unki mulakat usi senior se huyi jisne unki ragging li thi. Teeno ne use saamne dekhkar ek doosre ki taraf dekha aur faisla liya ki chalte hain. Ragging to le chukka aur kya karega ab. Teeno jaakar ek table par baith gaye aur Ravi snacks and cold-drinks lene counter par chala gaya.
Tabhi wo senior jiska naam mukesh tha aaya aur bola sorry doston ragging kuch jyada to nahin ho gayi. Pawan ne kaha “Nahin its ok. Baithiye pls” Mukesh un logon ke saath baith gaya aur bola aap kaunse course ki padhai kar rahe ho. Pawan ne kaha hum B.A. kar rahe hain. Mukesh khus ho gaya ye sunkar aur bola doston mera chota bhai bhi isi saal college mein aaya hai. Uska naam Sanju hai. Wo bhi BA kar raha hai. Pls help him. Aur college mein kisi tarah ki pareshani ho tum logon ko to mujhe batana.
Ye kehkar Mukesh wahan se chala gaya aur theek do min baad Ravi bhi wahan pahunch gaya samaan lekar. Usne Mukesh ko jaata huya dekh liya tha aur Pawan se poocha ki ye yahan kyun aaya tha.
Pawan ne bata diya ki uska chota bhai bhi hamare saath BA kar raha hai. Usi ki pairvi karne aaya tha taaki hum padhai mein uski help kar saken.
“Bada aaya pairvi karne wala. Dekh lenge isko aur iske bhai dono ko. Chodo ye sab baatein khao aur mast jiyo.”
Isi tarah baatein karte karte kab samay nikal gaya pata hi nahin chala. Jay ko thoda ghar par kaam tha to wo jaldi chala gaya college se. Ab ye dono bhi chal diye. Wahan kya karte kyunki Jay agar wahan hota to usse aage ki kahani sun lete. Lekin dono ko nahin pata tha ki Sanju kaun hai aur kal unki mulakat usse kaise hone wali hai.
Agle din subah tayyar hoke Ravi aur Pawan motorcycle par baith kar chal diye college ke liye. Unhone faisla kar liya tha ki aaj to kaise na kaise karke us Mukesh aur uske bhai Sanju dono ko maja chakana hai. Saale samajhte kya hain apne aap ko.
Ab aap log ye poochoge Ravi ya Pawan ke paas kal tak to motorcycle thi nahin, to aaj kahan se aa gayi to iska jawab ye hai ki ab Ravi aa gaya hai college mein. Impression ka sawal hai. Ghar walon se lad jhagadkar ek second hand motorcycle le hi li. Second hand isliye li kyunki jyada chalani aati nahin thi, sikh raha tha to gharwalon ne socha abhi to kai jagah de kar maarega to nayi ko kyun tudwaye. Pehle purani par hi haath aajma lene do. Bas fir kya tha jab se motorcycle mili thi tabhi yahan maar to kabhi wahan maar.
Ab aap log ye bhi poochoge ki college mein first day tha to us din kyun nahin laaya. To wo isliye nahin laya kyunki motorcycle ek din pehle itni buri tarah thok di thi ki mechanic ke paas jama karni padi marammat ke liye. Ab motorcycle hote huye bhi dono ko bus se aur paidal jaana pada. Lekin aaj motorcycle wapas mil gayi thi, halanki us par 500/- ka kharch aa gaya tha lekin un par to motorcycle ka bhoot sawar tha. Ye log kyun chinta karne lage ki kitne paise lage hain. Bas motorcycle thik ho gayi to dono tayyar ho gaye college le jaane ke liiye.
Ab aap logon ko to pata hi hai ki naushikiye driver kaise chalate hain. Chalate kahin aur hain aur dekhte kahin aur hain. Upar se sone pe suhaga ye hua ki aaj drive karne ko motorcycle Pawan ke haath mein thama di. Wo is maamle mein Ravi ka bhi guru nikla. Khair Ravi ko to koi interest nahin tha ladkiyon mein aur khaskar Jay ki kahani sunne ke baad se to wo ladkiyon se koso door bhagne laga tha lekin apna Pawan to Riya ke pyaar mein giraftaar tha.
Use to har ladki mein Riya hi najar aa rahi thi. Chahe koi andhi ho, landgi ho, kaali ho, moti ho sab ko ghoorta huya chala raha tha.
Ravi ne kai baar toka use lekin wo sune tab na. Sunta ek baar aur thodi der ke liye saamne dhyaan rakhta lekin fir wohi sab.
Had to tab thi jab ladki bhi us par line dene lagi thi. Main apni kismat ko ro raha tha ki kyun Pawan ko bike chalane ke liye de di. Aaj to jaroor ye mujhe marwayega. Ladki use smile deti to hanskar jawab de deta. Ab wo Riya se sachha pyaar karta tha isliye jyada serious to nahin tha in ladkiyon ke liye lekin Biwi No. 1 film mein Salmaan Khan ka dialogue tha na “Aadmi kutta hota hai. Aadmi ki fitrat bhi kutte jaisi hoti hai. Jahan dekhi naari, wahan aankh maari, pati to theek nahin to doosri ki tayyari (Ye sher waise usne nahin sunaya tha maine yahan jabardasti ghusaya hai)”
Scooty par, paidal, car mein jahan mauka mila bas ladki ko taakne mein laga huya tha. Itne mein saamne se aa rahi ek car mein usne motorcycle de maari. Mujhe to pehle se hi lag raha tha jaroor koi na
koi gadbad karega ye, lekin itni jaldi, iski ummed nahin thi. Agar thokni hi thi to kam se kam college ke paas thokta kyunki college ke paas ek hospital tha. Lekin usne to beech raaste mein hi thokni thi to thok di gaadi. Uska kya jaa raha tha. Chot lagi mujhe, nuksaan mera hua, haddi-pasli meri tooti aur wo kismat ka dhani saala safe jaisa use kuch hua hi nahin.
Main road ke ek taraf pada karah raha tha aur use hansi soojh rahi thi kyunki main poora mitti mein ho gaya tha jo road ke side mein padi thi. Lekin jab usne dekha ki chot jyada aa gayi hai aur khoon bhi nikalta jaa raha hai to wo pareshan ho gaya aur mujhe hospital le jaane ke liye lift maangne laga. Ab lift isliye maag raha tha ki takkar car se maar kar road ke barrier mein bhi maari thi jiski wajah se hi main gira tha aur motorcycle ka kachoomar nikal gaya tha.
Bas wo road par khada ho gaya sabko haath dene ke liye.
To be continued....
Kareem
13-Jan-2022 08:31 PM
Nice
Reply
Swati chourasia
12-Oct-2021 07:34 PM
Very beautiful 👌
Reply
Shalini Sharma
30-Sep-2021 07:17 PM
Nice
Reply